Sach Kahon Gi To Saza Dain Gy Tery Shehr Ke Log

Sach kahon gi to saza dain gy tery shehr k log
Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log,

Baton Baton mein tera zikr krain gy mujh sy
Yun zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log,

Aik diwar gira doon bhi to aye jan e jaan,
Nai diwar utha dain gy tery shehr k log,

Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha
Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log,

Main to shama hoon meri umar hi kiya hay
Subha hoty hi bujha dain gy tery shehr k log.....
Comments
0 Blogger Comments